Top 5 Riches Teams in IPL-2022

 



Indian Priemer League (IPL) is waqat duniya ki sab say largest league ban chuki hai. Ye is ki baypnah dolat hai jo isay sab say bari Franchise Cricket Tournament bnati hai. Jis main best players apnay talent ko dikhatay hain. IPL ki earning broadcasting or sponsorships say hasil hoti hai. Ab taqreeban har IPL Franchisee sponsors or digital rights say tournament start honay say pehlay hi profit kamana start kar dete hai.

Is list main hum nay Top 5 Richest IPL teams ko shamil kiya hai:



Sunrisers Hyderabad:

Deccan Chargers k khatam honay k bad Sunrisers Hyderabad nay 2013 main IPL main qadam rakha. Ye franchise Sun TV k Kalanithi Murasoli Maran ki malkiyat hai. 2018 main SRH ki market value 498 crore thi jab k 2017 k muqablay main 2018 main is ki stock value main 25% izafa huwa tha. SRH nay ab tak apna wahid title 2016 main jeeta tha or ye pechlay season main nechlay number pr rahay.



Chennai Super Kings:

2 seasons main ban honay k bawjood Chennai Super Kings tournament ki sab say ameer franchises main shamil hai. Jis ki total maaliyat taqreeban 697 crore rupee hai. N. Srinivasan ki India cement limited company is team ki owner hai. MS Dhoni ki team nay 4 IPL title jeetay hain. 2 season kam kheltay huway 2nd highest or 11 bar play of the match rahay hain.



Royal Challengers Bangalore:

RCB abhi tak IPL trophy say mehroom rahi hai lekin wo IPL main zabardast profit bna rahay hain. Business tycoon Vijay Malia 2018 tak team k owner thay jis k bad 2019 main jab united spirits nay team buy ki to RCB ki ownership change ho gyi. RCB 697 crore ki market value k sath IPL ki 3rd richest team hai.



Kolkata Knight Riders:

2 bar ki champion Kolkata Knight Riders Bollywood star Shahrukh Khan, Johi Chawla or businessman Jay Mehta ki mushtarka malkiyat hai. KKR ki market value 740 crore rupee inhain IPL ki 2nd richest team bnati hai.



Mumbai Indians:

Mumbai Indians IPL ki sab say successful franchise hai. Is k pas IPL ki 5 trophies hain. MI league ki sab say ameer team bhi hai. Ambani ki ownership wali is team ki market value 803 crore hai.  

Post a Comment

0 Comments