Saeed Anwar 25 Years old 194 runs Historical inning against India

Pakistani Former Cricketer Saeed Anwar ki India k khilaf 194 runs ki innings ko 25 saal mukammal ho chukay hain or aj bhi wo inning Pakistani cricket fans k liye kuch nayab lamhon main say 1 lamhay ki tarha hai. Q k Saeed Anwar nay 194 runs ki inning us time main kheli jis waqat 150 runs bhi bnana bohat mushkil hota tha. Is k bawjood ye record taqreeban 12 saal tak koi na tor saka.


Match Detail:

1997 ka wo match jis main Pakistan nay pehlay batting kartay huway 8 runs par pehli wicket Shahid Afridi ki ganwai lekin us k bad Saeed Anwar nay Historical inning kheli or sirf 146 balls par 22 fours or 5 sixes ki madad say 194 runs bnaye. Is match main Pakistan nay 5 wickets k nuqsan par 327 runs ka target diya tha. Is match ko Pakistan nay 35 runs say jeet to liya tha lekin India nay bhi apni taraf say pori pori koshish ki thi. Jis main say
Rahul Dravid ki 107 or Vinod Kambli ki 65 runs ki sahndar innings shamil hain. Is match main Pakistan ki taraf say behtareen bowling Aqib Javed nay 10 overs main 61 runs day kar 5 wickets or Saqlain Mushtaq nay 9.2 overs main 46 runs day kar 2 wickets len. 

Saeed Anwar Retirement:

Saeed Anwar jinhen Pakistan k ab tak k sab say baray opening batsman’s main shumar kiya jata hai inhon nay one day matches main 20 centuries bnaien or 2003 main apnay shandar career say retirement lay li. Saeed Anwar nay apnay international career ka start 1989 main kiya jis main 247 one day matches main 39.21 ki average say total 8824 runs bnaye. Jis main 20 centuries or 43 fifties shamil hain. Saeed Anwar wo pehlay Pakistani batsman hain jinhon nay one day format main India ki sarzameen par Pakistan ki taraf say pehli century bnaye thi.