Kya ap jantay hain k machar ka shumar duniya k jaanlewa jaandaroon main hota hai or is ka daawa idara aalmi sehat bhi kr chuka hai. Machar ki waja say mlairia daingi or buhat say mulkon main zeeka virus jaisi bimarian janam laiti hain jis k nateejay main har saal 10 lakh log martay hain.
Aen macharoon k baray main mazeed ajantay hain k in ko door kisay bhagaen:-
Macharoon ko door bhaganay walay 6 anasar:-
1. Maltay ka Chilkay
Maltoon ki khushboo machroon ko door bhagati hai Q k keeron ko 'Tursh' khushboo pasand nhi aati. Tajarbay k lye maltay k chilkon ko pees kr macharoon wali jaghoon pr daal den or agr machar nay kaat liya hain tu taza maltay ka chilka us jgah pr ragren jis jgah par machar nay kata hain is say nishan madham ho jae ga.
2. Kafoor:-
Kafoor ek aam milnay wali cheez hai jo k macharoon ko bhaganay k liye mufeed totka hai. Kamray ki tamam khirkiyan or darwazay band krnay k baad kafoor ko jla kr aadhay ghantay k lye choor den or adhay ghantay baad ap ko is ka kmaal nazar aa jae ga.
3. Lehsan:-
Macharoon ko lehsan buhat na pasand hai. Jo log 'Lehsan' ka paist apnay haton or pairon mal laitay hain un ka machroon say taaluq hi khatam ho jata hain.
4. Dish Wasing Soap:-
Kuch qatray washing soap k sauser main daal den phir dekhain ye macharoon ko kis tarha apni taraf khenchta hai.
5. Neem ka Tail:-
Neem k tail ko Narial k tail k sath mix karen or apnay jism k saath mal len. Is mixture ki smell macharoon k naak main dam kr day gi or ap kam iz kam sakoon say 8 ghantay so saken gay.
6. Daar Chini:-
Daar chini ka tail macharoon ko marnay kik behtareen salahiyat rakhta hai. chothaey chai ka chamach Daar Chini kay tail ko 4 ons paani main milaen or apnay ghar main is ka sapray karen or phir dekhen is ka kamal.
Umeed karta hon k apko ye maloomat pasand ae ho gi. Is information ko apnay friends or relative say zaroor share karen,
Shukria